taḌapnā  bhī  dekhā  na  bismil  kā  apne
maiñ  kushta  huuñ  andāz-e-qātil  kā  apne
na  pūchho  ki  ahvāl  nā-gufta-bah  hai
musībat  ke  maare  hue  dil  kā  apne
dil-e-zaḳhm-ḳhurda  ke  aur  ik  lagā.ī
mudāvā  kyā  ḳhuub  ghāyal  kā  apne
jo  ḳhosha  thā  sad  ḳhirman-e-barq  thā  yaañ
jalāyā  huā  huuñ  maiñ  hāsil  kā  apne
Tak  abrū  ko  merī  taraf  kiije  maa.il
kabhū  dil  bhī  rakh  liije  maa.il  kā  apne
huā  daftar-e-qais  āḳhir  abhī  yaañ
suḳhan  hai  junūñ  ke  avā.el  kā  apne
banā.eñ  rakheñ  maiñ  ne  aalam  meñ  kyā  kyā
huuñ  banda  ḳhayālāt  bātil  kā  apne
maqām-e-fanā  vāqiye  meñ  jo  dekhā
asar  bhī  na  thā  gor  manzil  kā  apne