lazzat  se  nahīñ  ḳhālī  jānoñ  kā  khapā  jaanā
kab  ḳhizr  o  masīhā  ne  marne  kā  maza  jaanā
ham  jāh-o-hasham  yaañ  kā  kyā  kahiye  ki  kyā  jaanā
ḳhātim  ko  sulaimāñ  kī  añgushtar-e-pā  jaanā
ye  bhī  hai  adā  koī  ḳhurshīd  namat  pyāre
muñh  sub.h  dikhā  jaanā  phir  shaam  chhupā  jaanā
kab  bandagī  merī  sī  banda  karegā  koī
jaane  hai  ḳhudā  us  ko  maiñ  tujh  ko  ḳhudā  jaanā
thā  naaz  bahut  ham  ko  dānist  par  apnī  bhī
āḳhir  vo  burā  niklā  ham  jis  ko  bhalā  jaanā
gardan-kashī  kyā  hāsil  mānind  bagūle  kī
is  dasht  meñ  sar  gaaḌe  juuñ  sail  chalā  jaanā
is  girya-e-ḳhūnīñ  kā  ho  zabt  to  behtar  hai
achchhā  nahīñ  chehre  par  lohū  kā  bahā  jaanā
ye  naqsh  diloñ  par  se  jaane  kā  nahīñ  us  ko
āshiq  ke  huqūq  aa  kar  nāhaq  bhī  miTā  jaanā
Dhab  dekhne  kā  īdhar  aisā  hī  tumhārā  thā
jaate  to  ho  par  ham  se  Tuk  aañkh  milā  jaanā
us  sham.a  kī  majlis  meñ  jaanā  hameñ  phir  vaañ  se
ik  zaḳhm-e-zabāñ  taaza  har  roz  uThā  jaanā
ai  shor-e-qayāmat  ham  sote  hī  na  rah  jāveñ
is  raah  se  nikle  to  ham  ko  bhī  jagā  jaanā
kyā  paanī  ke  mol  aa  kar  mālik  ne  guhar  bechā
hai  saḳht  girāñ  sastā  yūsuf  kā  bikā  jaanā
hai  merī  tirī  nisbat  ruuh  aur  jasad  kī  sī
kab  aap  se  maiñ  tujh  ko  ai  jaan  judā  jaanā
jaatī  hai  guzar  jī  par  us  vaqt  qayāmat  sī
yaad  aave  hai  jab  terā  yak-bārgī  aa  jaanā
barsoñ  se  mire  us  kī  rahtī  hai  yahī  sohbat
teġh  us  ko  uThānā  to  sar  mujh  ko  jhukā  jaanā
kab  'mīr'  basar  aa.e  tum  vaise  farebī  se
dil  ko  to  lagā  baiThe  lekin  na  lagā  jaanā