palkoñ  pe  the  pāra-e-jigar  raat
ham  āñkhoñ  meñ  le  ga.e  basar  raat
ik  din  to  vafā  bhī  karte  va.ada
guzrī  hai  umīd-vār  har  raat
mukhḌe  se  uThā.īñ  un  ne  zulfeñ
jaanā  bhī  na  ham  ga.ī  kidhar  raat
tū  paas  nahīñ  huā  to  rote
rah  rah  ga.ī  hai  pahar  pahar  raat
kyā  din  the  ki  ḳhuun  thā  jigar  meñ
ro  uThte  the  baiTh  dopahar  raat
vaañ  tum  to  banāte  hī  rahe  zulf
āshiq  kī  bhī  yaañ  ga.ī  guzar  raat
saaqī  ke  jo  aane  kī  ḳhabar  thī
guzrī  hameñ  saarī  be-ḳhabar  raat
kyā  soz-e-jigar  kahūñ  maiñ  hamdam
aayā  jo  suḳhan  zabān  par  raat
sohbat  ye  rahī  ki  sham-ravī
le  shaam  se  tā-dam-e-sahar  raat
khultī  hai  jab  aañkh  shab  ko  tujh  bin
kaTtī  nahīñ  aatī  phir  nazar  raat
din  vasl  kā  yuuñ  kaTā  kahe  tū
kaaTī  hai  judā.ī  kī  magar  raat
kal  thī  shab-e-vasl  ik  adā  par
us  kī  ga.e  hote  ham  tū  mar  raat
jaage  the  hamāre  baḳht-e-ḳhufta
pahuñchā  thā  baham  vo  apne  ghar  raat
karne  lagā  pusht-e-chashm-e-nāzuk
sote  se  uThā  jo  chauñk  kar  raat
thī  sub.h  jo  muñh  ko  khol  detā
har-chand  ki  tab  thī  ik  pahar  raat
par  zulfoñ  meñ  muñh  chhapā  ke  pūchhā
ab  hovegī  'mīr'  kis  qadar  raat