Meer Taqi Meer

dil ke tin aatish-e-hijran se bachaya na gaya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
dil ke tiiñ ātish-e-hijrāñ se bachāyā na gayā
ghar jalā sāmne par ham se bujhāyā na gayā
dil meñ rah-e-dil meñ ki me.amār-e-qazā se ab tak
aisā matbū-e-makāñ koī banāyā na gayā
kabhū āshiq kā tire jabhe se nāḳhun kā ḳharāsh
ḳhat-e-taqdīr ke mānind miTāyā na gayā
kyā tunuk-hausla the dīda-o-dil apne aah
ek dam rāz-e-mohabbat kā chhupāyā na gayā
dil jo dīdār kā qātil ke bahut bhūkā thā
us sitam-kushta se ik zaḳhm bhī khāyā na gayā
maiñ to thā said-e-zabūñ said-gah-e-ishq ke beach
aap ko ḳhaak meñ bhī ḳhuub milāyā na gayā
shahr-e-dil-e-āh ajab jaa.e thī par us ke ga.e
aisā ujḌā ki kisī tarah basāyā na gayā
aaj ruktī nahīñ ḳhāme kī zabāñ rakhiye muaaf
harf kā tuul bhī jo mujh se ghaTāyā na gayā
Top Urdushayar.com