kahte  haiñ  bahār  aa.ī  gul  phuul  nikalte  haiñ
ham  kunj-e-qafas  meñ  haiñ  dil  sīnoñ  meñ  jalte  haiñ
ab  ek  sī  be-hoshī  rahtī  nahīñ  hai  ham  ko
kuchh  dil  bhī  sambhalte  haiñ  par  der  sambhalte  haiñ
vo  to  nahīñ  ik  chhīñTā  rone  kā  huā  gaahe
ab  dīda-e-tar  aksar  dariyā  se  ubalte  haiñ
un  paañv  ko  āñkhoñ  se  ham  malte  rahe  jaisā
afsos  se  hāthoñ  ko  ab  vaisā  hī  malte  haiñ
kyā  kahiye  ki  a.azā  sab  paanī  hue  haiñ  apne
ham  ātish-e-hijrāñ  meñ  yuuñ  hī  paḌe  galte  haiñ
karte  haiñ  sifat  jab  ham  lāl-e-lab-e-jānāñ  kī
tab  koī  hameñ  dekhe  kyā  la.al  ugalte  haiñ
gul  phuul  se  bhī  apne  dil  to  nahīñ  lagte  Tuk
jī  logoñ  ke  be-jānāñ  kis  taur  bahalte  haiñ
haiñ  narm  sanam  go  na  kahne  ke  ta.iiñ  varna
patthar  haiñ  unhoñ  ke  dil  kaahe  ko  pighalte  haiñ
ai  garm-e-safar  yārāñ  jo  hai  so  sar-e-rah  hai
jo  rah  sako  rah  jaao  ab  'mīr'  bhī  chalte  haiñ