samjhe  the  'mīr'  ham  ki  ye  nāsūr  kam  huā
phir  un  dinoñ  maiñ  dīda-e-ḳhūñ-bār  nam  huā
aa.e  ba-rañg-e-abr  araq-nāk  tum  udhar
hairān  huuñ  ki  aaj  kidhar  ko  karam  huā
tujh  bin  sharāb  pī  ke  muue  sab  tire  ḳharāb
saaqī  baġhair  tere  unheñ  jām-e-sam  huā
kāfir  hamāre  dil  kī  na  pūchh  apne  ishq  meñ
bait-ul-harām  thā  so  vo  bait-us-sanam  huā
ḳhāna-ḳharāb  kis  kā  kiyā  terī  chashm  ne
thā  kaun  yuuñ  jise  tū  nasīb  ek  dam  huā
talvār  kis  ke  ḳhuun  meñ  sar  Duub  hai  tirī
ye  kis  ajal-rsīda  ke  ghar  par  sitam  huā
aa.ī  nazar  jo  gor  sulaimāñ  kī  ek  roz
kūche  par  us  mazār  ke  thā  ye  raqam  huā
kā-e-sar-kashāñ  jahān  meñ  khīñchā  thā  meñ  bhī  sar
pāyān-e-kār  mor  kī  ḳhāk-e-qadam  huā
afsos  kī  bhī  chashm  thī  un  se  ḳhilāf-e-aql
bār-e-ilāqa  se  to  abas  pusht-e-ḳham  huā
ahl-e-jahāñ  haiñ  saare  tire  jīte-jī  talak
pūchheñge  bhī  na  baat  jahāñ  to  adam  huā
kyā  kyā  aziiz  dost  mile  'mīr'  ḳhaak  meñ
nādān  yaañ  kaso  kā  kaso  ko  bhī  ġham  huā