ramaq  ek  jān-e-vabāl  hai  koī  dam  jo  hai  to  azaab  hai
dil-e-dāġh  gashta  kabāb  hai  jigar  gudāḳhta  aab  hai
mirī  ḳhalq  mahv-e-kalām  sab  mujhe  chhoḌte  haiñ  ḳhamosh  kab
mirā  harf  rashk-e-kitāb  hai  marī  baat  likhne  kā  baab  hai
jo  vo  likhtā  kuchh  bhī  to  nāma-bar  koī  rahtī  muñh  meñ  tire  nihāñ
tirī  ḳhāmushī  se  ye  nikle  hai  ki  javāb  ḳhat  kā  javāb  hai
rahe  haal  dil  kā  jo  ek  sā  to  rujūa  karte  kahīñ  bhalā
so  tū  ye  kabhū  hama  daaġh  hai  kabhū  nīm-soz  kabāb  hai
kaheñge  kaho  tumheñ  log  kyā  yahī  aarsī  yahī  tum  sadā
na  kaso  kī  tum  ko  hai  Tak  hayā  na  hamāre  muñh  se  hijāb  hai
chalo  mai-kade  meñ  basar  kareñ  ki  rahī  hai  kuchh  barakat  vahīñ
lab-e-nā-tovāñ  kā  kabāb  hai  dam-e-ābvāñ  kā  sharāb  hai
nahīñ  khultīñ  āñkheñ  tumhārī  Tak  ki  ma.aal  par  bhī  nazar  karo
ye  jo  vahm  kī  sī  numūd  hai  use  ḳhuub  dekho  to  ḳhvāb  hai
ga.e  vaqt  aate  haiñ  haath  kab  hue  haiñ  gañvā  ke  ḳharāb  sab
tujhe  karnā  hove  so  kar  tū  ab  ki  ye  umr  barq-e-shattāb  hai
kabhū  lutf  se  na  suḳhan  kyā  kabhū  baat  kah  na  lagā  liyā
yahī  lahza  lahza  ḳhitāb  hai  vahī  lamha  lamha  itaab  hai
tū  jahāñ  ke  bahr-e-amīq  meñ  sar  par  huā  na  buland  kar
ki  ye  panj-roza  jo  buud  hai  kaso  mauj-e-pur  kā  habāb  hai
rakho  aarzū  mai-e-ḳhām  kī  karo  guftugū  ḳhat-e-jām  kī
ki  siyāh  caroñ  se  hashr  meñ  na  hisāb  hai  na  kitāb  hai
mirā  shor  sun  ke  jo  logoñ  ne  kiyā  pūchhnā  tū  kahe  hai  kyā
jise  'mīr'  kahte  haiñ  sāhibo  ye  vahī  to  ḳhāna-ḳharāb  hai