ham  bhī  phirte  haiñ  yak  hasham  le  kar
dasta-e-dāġh-o-fauj-e-ġham  le  kar
dast-kash  naala  pesh-rau  girya
aah  chaltī  hai  yaañ  ilm  le  kar
marg  ik  māñdgī  kā  vaqfa  hai
ya.anī  aage  chaleñge  dam  le  kar
us  ke  uupar  ki  dil  se  thā  nazdīk
ġham-e-dūrī  chale  haiñ  ham  le  kar
terī  vaz-e-sitam  se  ai  be-dard
ek  aalam  gayā  alam  le  kar
bārhā  said-gah  se  us  kī  ga.e
dāġh-e-yās  āhu-e-haram  le  kar
zo.af  yaañ  tak  khiñchā  ki  sūrat-gar
rah  ga.e  haath  meñ  qalam  le  kar
dil  pe  kab  iktifā  kare  hai  ishq
jā.egā  jaan  bhī  ye  ġham  le  kar
shauq  agar  hai  yahī  to  ai  qāsid
ham  bhī  aate  haiñ  ab  raqam  le  kar
'mīr'-sāhib  hī  chūke  a  bad-ahd
varna  denā  thā  dil  qasam  le  kar