kuchh  to  kah  vasl  kī  phir  raat  chalī  jaatī  hai
din  guzar  jaa.eñ  haiñ  par  baat  chalī  jaatī  hai
rah  ga.e  gaah  tabassum  pe  gahe  baat  hī  par
baare  ai  ham-nashīñ  auqāt  chalī  jaatī  hai
Tuk  to  vaqfa  bhī  kar  ai  gardish-e-daurāñ  ki  ye  jaan
umr  ke  haif  hī  kyā  saat  chalī  jaatī  hai
yaañ  to  aatī  nahīñ  shatranj-zamāna  kī  chaal
aur  vaañ  baazī  huī  maat  chalī  jaatī  hai
roz  aane  pe  nahīñ  nisbat-e-ishqī  mauqūf
umr  bhar  ek  mulāqāt  chalī  jaatī  hai
shaiḳh-e-be-nafs  ko  nazla  nahīñ  hai  naak  kī  raah
ye  hai  jiryān-e-manī  dhaat  chalī  jaatī  hai
ḳhirqa  mindīl  o  ridā  mast  liye  jaate  haiñ
shaiḳh  kī  saarī  karāmāt  chalī  jaatī  hai
hai  muazzin  jo  baḌā  murġh  musallī  us  kī
mastoñ  se  nok  hī  kī  baat  chalī  jaatī  hai
paañv  ruktā  nahīñ  masjid  se  dam-e-āḳhir  bhī
marne  par  aayā  hai  par  laat  chalī  jaatī  hai
ek  ham  hī  se  tafāvut  hai  sulūkoñ  meñ  'mīr'
yuuñ  to  auroñ  kī  mudārāt  chalī  jaatī  hai