Meer Taqi Meer

uske kuche se jo uTh ahl-e-wafa jate hain

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
us ke kūche se jo uTh ahl-e-vafā jaate haiñ
tā-nazar kaam kare rū-ba-qafā jaate haiñ
muttasil rote hī rahiye to bujhe ātish-e-dil
ek do aañsū to aur aag lagā jaate haiñ
vaqt-e-ḳhush un kā jo ham-bazm haiñ tere ham to
dar-o-dīvār ko ahvāl sunā jaate haiñ
jā.egī tāqat-e-pā aah tū kariyegā kyā
ab to ham haal kabhū tum ko dikhā jaate haiñ
ek bīmār-e-judā.ī huuñ maiñ aaphī tis par
pūchhne vaale judā jaan ko khā jaate haiñ
ġhair kī teġh-e-zabāñ se tirī majlis meñ to ham
aa ke roz ek nayā zaḳhm uThā jaate haiñ
arz-e-vahshat na diyā kar to bagūle itnī
apnī vaadī pe kabhū yaar bhī aa jaate haiñ
'mīr' sāhab bhī tire kūche meñ shab aate haiñ lek
jaise daryūza-garī karne gadā jaate haiñ
Top Urdushayar.com