us  ke  kūche  se  jo  uTh  ahl-e-vafā  jaate  haiñ
tā-nazar  kaam  kare  rū-ba-qafā  jaate  haiñ
muttasil  rote  hī  rahiye  to  bujhe  ātish-e-dil
ek  do  aañsū  to  aur  aag  lagā  jaate  haiñ
vaqt-e-ḳhush  un  kā  jo  ham-bazm  haiñ  tere  ham  to
dar-o-dīvār  ko  ahvāl  sunā  jaate  haiñ
jā.egī  tāqat-e-pā  aah  tū  kariyegā  kyā
ab  to  ham  haal  kabhū  tum  ko  dikhā  jaate  haiñ
ek  bīmār-e-judā.ī  huuñ  maiñ  aaphī  tis  par
pūchhne  vaale  judā  jaan  ko  khā  jaate  haiñ
ġhair  kī  teġh-e-zabāñ  se  tirī  majlis  meñ  to  ham
aa  ke  roz  ek  nayā  zaḳhm  uThā  jaate  haiñ
arz-e-vahshat  na  diyā  kar  to  bagūle  itnī
apnī  vaadī  pe  kabhū  yaar  bhī  aa  jaate  haiñ
'mīr'  sāhab  bhī  tire  kūche  meñ  shab  aate  haiñ  lek
jaise  daryūza-garī  karne  gadā  jaate  haiñ