kasrat-e-dāġh  se  dil  rashk-e-gulistāñ  na  huā
merā  dil  ḳhvāh  jo  kuchh  thā  vo  kabhū  yaañ  na  huā
jī  to  aise  ka.ī  sadqe  kiye  tujh  par  lekin
haif  ye  hai  ki  tanik  tū  bhī  pashemāñ  na  huā
aah  meñ  kab  kī  ki  sarmāya-e-dozaḳh  na  huī
kaun  sā  ashk  mirā  mamba-e-tūfāñ  na  huā
go  tavajjoh  se  zamāne  kī  jahāñ  meñ  mujh  ko
jāh-o-sarvat  kā  mayassar  sar-o-sāmāñ  na  huā
shukr-sad-shukr  ki  maiñ  zillat-o-ḳhvārī  ke  sabab
kisī  unvān  meñ  ham-chashm-e-azīzāñ  na  huā
barq  mat  ḳhoshe  kī  aur  apnī  bayāñ  kar  sohbat
shukr  kar  ye  ki  mirā  vaañ  dil-e-sozāñ  na  huā
dil-e-be-rahm  gayā  shaiḳh  liye  zer-e-zamīñ
mar  gayā  par  ye  kuhan  gabr-musalmāñ  na  huā
kaun  sī  raat  zamāne  meñ  ga.ī  jis  meñ  'mīr'
sīna-e-chāk  se  maiñ  dast-o-garebāñ  na  huā