mushkil  hai  honā  rū-kash  ruḳhsār  kī  jhalak  ke
ham  to  bashar  haiñ  us  jā  par  julte  haiñ  malak  ke
martā  hai  kyuuñ  to  nāhaq  yaarī  briādrī  par
duniyā  ke  saare  naate  haiñ  jīte-jī  tilak  ke
kahte  haiñ  gor  meñ  bhī  haiñ  tiin  roz  bhārī
jāveñ  kidhar  ilāhī  maare  hue  falak  ke
laate  nahīñ  nazar  meñ  ġhaltīnī  guhar  ko
ham  mo'taqid  haiñ  apne  aañsū  hī  kī  Dhalak  ke
kal  ik  mizha  nichoḌe  tūfān  nuuh  aayā
fikr-e-fishār  meñ  huuñ  'mīr'  aaj  har  palak  ke