kaash  uThīñ  ham  bhī  gunahgāroñ  ke  beach
huuñ  jo  rahmat  ke  sazā-vāroñ  ke  beach
jī  sadā  un  abrūoñ  hī  meñ  rahā
kī  basar  ham-umr  talvāroñ  ke  beach
chashm  ho  to  ā.īna-ḳhāna  hai  dahr
muñh  nazar  aatā  hai  dīvāroñ  ke  beach
haiñ  anāsir  kī  ye  sūrat-bāziyāñ
sho.abde  kyā  kyā  haiñ  un  chāroñ  ke  beach
jab  se  le  niklā  hai  to  ye  jins-e-husn
paḌ  ga.ī  hai  dhuum  bāzāroñ  ke  beach
āshikī-o-be-kasī-o-raftagī
jī  rahā  kab  aise  āzāroñ  ke  beach
jo  sarishk  us  maah  bin  jhamke  hai  shab
vo  chamak  kaahe  ko  hai  tāroñ  ke  beach
us  ke  ātishnāk  ruḳhsāroñ  baġhair
loTiye  yuuñ  kab  tak  añgāroñ  ke  beach
baiThnā  ġhairoñ  meñ  kab  hai  nañg-e-yār
phuul  gul  hote  hī  haiñ  ḳhāroñ  ke  beach
yaaro  mat  us  kā  fareb-e-mehr  khaao
'mīr'  bhī  the  us  ke  hī  yāroñ  ke  beach