ham  haiñ  majrūh  mājrā  hai  ye
vo  namak  chhiḌke  hai  maza  hai  ye
aag  the  ibtidā-e-ishq  meñ  ham
ab  jo  haiñ  ḳhaak  intihā  hai  ye
buud  aadam  numūd  shabnam  hai
ek  do  dam  meñ  phir  huā  hai  ye
shukr  us  kī  jafā  kā  ho  na  sakā
dil  se  apne  hameñ  gila  hai  ye
shor  se  apne  hashr  hai  parda
yuuñ  nahīñ  jāntā  ki  kiyā  hai  ye
bas  huā  naaz  ho  chukā  aġhmāz
har  ghaḌī  ham  se  kiyā  adā  hai  ye
nāsheñ  uThtī  haiñ  aaj  yāroñ  kī
aan  baiTho  to  ḳhushnumā  hai  ye
dekh  be-dam  mujhe  lagā  kahne
hai  to  murda  sā  par  balā  hai  ye
maiñ  to  chup  huuñ  vo  hoñT  chāTe  hai
kyā  kahūñ  rījhne  kī  jā  hai  ye
hai  re  begānagī  kabhū  un  ne
na  kahā  ye  ki  āshnā  hai  ye
teġh  par  haath  dam-ba-dam  kab  tak
ik  lagā  chak  ki  mudda.ā  hai  ye
'mīr'  ko  kyuuñ  na  muġhtanim  jaane
agle  logoñ  meñ  ik  rahā  hai  ye