kal  chaman  meñ  gul-o-saman  dekhā
aaj  dekhā  to  baaġh  ban  dekhā
kyā  hai  gulshan  meñ  jo  qafas  meñ  nahīñ
āshiqoñ  kā  jilā-vatan  dekhā
zauq  paikān-e-tīr  meñ  tere
muddatoñ  tak  jigar  ne  chhin  dekhā
ghar  ke  ghar  jalte  the  paḌe  tere
dāġh-e-dil  dekhe  bas  chaman  dekhā
ek  chashmak-e-do-sad  sinān-e-mizha
is  nukīle  kā  bāñkpan  dekhā
shukr  zāhid  kā  apnī  āñkhoñ  meñ
mai-e-ivaz  ḳhirqa-e-murtahin  dekhā
hasrat  us  kī  jagah  thī  ḳhvābīda
'mīr'  kā  khol  kar  kafan  dekhā