Meer Taqi Meer

aa jaen hum nazar jo koi dam bahut hai yan

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
aa jaa.eñ ham nazar jo koī dam bahut hai yaañ
mohlat hameñ bisān-e-sharar kam bahut hai yaañ
yak lahza sīna-kūbī se fursat hameñ nahīñ
ya.anī ki dil ke jaane kā mātam bahut hai yaañ
hāsil hai kyā sivā.e tarā.ī ke dahr meñ
uTh āsmāñ tale se ki shabnam bahut hai yaañ
mā.il-ba-ġhair honā tujh abrū kā aib hai
thī zor ye kamāñ vale ḳham-cham bahut hai yaañ
ham rah-ravān-e-rāh-e-fanā der rah chuke
vaqfa bisān-e-sub.h koī dam bahut hai yaañ
is but-kade meñ ma.anī kā kis se kareñ savāl
aadam nahīñ hai sūrat-e-ādam bahut hai yaañ
aalam meñ log milne kī goñ ab nahīñ rahe
har-chand aisā vaisā to aalam bahut hai yaañ
vaisā chaman se saada nikaltā nahīñ koī
rañgīnī ek aur ḳham-o-cham bahut hai yaañ
ejāz-e-īsvī se nahīñ bahas ishq meñ
terī hī baat jaan mujassam bahut hai yaañ
mere halāk karne kā ġham hai abas tumheñ
tum shaad zindagānī karo ġham bahut hai yaañ
dil mat lagā ruḳh-e-araq-ālūd yaar se
ā.īne ko uThā ki zamīñ nam bahut hai yaañ
shāyad ki kaam sub.h tak apnā khiñche na 'mīr'
ahvāl aaj shaam se darham bahut hai yaañ
Top Urdushayar.com