aa  jaa.eñ  ham  nazar  jo  koī  dam  bahut  hai  yaañ
mohlat  hameñ  bisān-e-sharar  kam  bahut  hai  yaañ
yak  lahza  sīna-kūbī  se  fursat  hameñ  nahīñ
ya.anī  ki  dil  ke  jaane  kā  mātam  bahut  hai  yaañ
hāsil  hai  kyā  sivā.e  tarā.ī  ke  dahr  meñ
uTh  āsmāñ  tale  se  ki  shabnam  bahut  hai  yaañ
mā.il-ba-ġhair  honā  tujh  abrū  kā  aib  hai
thī  zor  ye  kamāñ  vale  ḳham-cham  bahut  hai  yaañ
ham  rah-ravān-e-rāh-e-fanā  der  rah  chuke
vaqfa  bisān-e-sub.h  koī  dam  bahut  hai  yaañ
is  but-kade  meñ  ma.anī  kā  kis  se  kareñ  savāl
aadam  nahīñ  hai  sūrat-e-ādam  bahut  hai  yaañ
aalam  meñ  log  milne  kī  goñ  ab  nahīñ  rahe
har-chand  aisā  vaisā  to  aalam  bahut  hai  yaañ
vaisā  chaman  se  saada  nikaltā  nahīñ  koī
rañgīnī  ek  aur  ḳham-o-cham  bahut  hai  yaañ
ejāz-e-īsvī  se  nahīñ  bahas  ishq  meñ
terī  hī  baat  jaan  mujassam  bahut  hai  yaañ
mere  halāk  karne  kā  ġham  hai  abas  tumheñ
tum  shaad  zindagānī  karo  ġham  bahut  hai  yaañ
dil  mat  lagā  ruḳh-e-araq-ālūd  yaar  se
ā.īne  ko  uThā  ki  zamīñ  nam  bahut  hai  yaañ
shāyad  ki  kaam  sub.h  tak  apnā  khiñche  na  'mīr'
ahvāl  aaj  shaam  se  darham  bahut  hai  yaañ