sher  ke  parde  meñ  maiñ  ne  ġham  sunāyā  hai  bahut
marsiye  ne  dil  ke  mere  bhī  rulāyā  hai  bahut
be-sabab  aatā  nahīñ  ab  dam-ba-dam  āshiq  ko  ġhash
dard  khīñchā  hai  nihāyat  ranj  uThāyā  hai  bahut
vaadī  o  kohsār  meñ  rotā  huuñ  DāḌheñ  maar  maar
dilbarān-e-shahr  ne  mujh  ko  satāyā  hai  bahut
vā  nahīñ  hotā  kisū  se  dil  girafta  ishq  kā
zāhiran  ġhamgīñ  use  rahnā  ḳhush  aayā  hai  bahut
'mīr'  gum-gashta  kā  milnā  ittifāqī  amr  hai
jab  kabhū  paayā  hai  ḳhvāhish-mand  paayā  hai  bahut