nikle  hai  jins-e-husn  kisī  kārvāñ  meñ
ye  vo  nahīñ  matā.a  ki  ho  har  dukān  meñ
jaatā  hai  ik  hujūm-e-ġham  ishq-jī  ke  saath
hañgāma  le  chale  haiñ  ham  us  bhī  jahān  meñ
yārab  koī  to  vāsta  sar-gashtagī  kā  hai
yak  ishq  bhar  rahā  hai  tamām  āsmān  meñ
ham  us  se  aah  soz-e-dil  apnā  na  kah  sake
the  ātish-e-darūñ  se  phaphole  zabān  meñ
ġham  khīñchne  ko  kuchh  to  tavānā.ī  chāhiye
sivayyāñ  na  dil  meñ  taab  na  tāqat  hai  jaan  meñ
ġhāfil  na  rahiyo  ham  se  ki  ham  ve  nahīñ  rahe
hotā  hai  ab  to  haal  ajab  ek  aan  meñ
ve  din  ga.e  ki  ātish-e-ġham  dil  meñ  thī  nihāñ
sozish  rahe  hai  ab  to  har  ik  ustuḳhvān  meñ
dil  nazr-o-dīda-pesh-kash  ai  bā.is-e-hayāt
sach  kah  ki  jī  lage  hai  tirā  kis  makān  meñ
khīñchā  na  kar  tū  teġh  ki  ik  din  nahīñ  haiñ  ham
zālim  qabāhateñ  haiñ  bahut  imtihān  meñ
phāḌā  hazār  jā  se  garebān-e-sabr-e-'mīr'
kyā  kah  ga.ī  nasīm-e-sahar  gul  ke  kaan  meñ