ḳhanjar-ba-kaf  vo  jab  se  saffāk  ho  gayā  hai
mulk  in  sitam-zadoñ  kā  sab  paak  ho  gayā  hai
jis  se  use  lagā.ūñ  rūkhā  hī  ho  mile  hai
siine  meñ  jal  kar  az-bas  dil  ḳhaak  ho  gayā  hai
kyā  jānoñ  lazzat-e-dard  us  kī  jarāhatoñ  kī
ye  jānoñ  huuñ  ki  siina  sab  chaak  ho  gayā  hai
sohbat  se  is  jahāñ  kī  koī  ḳhalās  hogā
is  fāhisha  pe  sab  ko  imsāk  ho  gayā  hai
dīvār  kohna  hai  ye  mat  baiTh  us  ke  saa.e
uTh  chal  ki  āsmāñ  to  kā  vaak  ho  gayā  hai
sharm-o-hayā  kahāñ  kī  har  baat  par  hai  shamshīr
ab  to  bahut  vo  ham  se  bebāk  ho  gayā  hai
har  harf  bas-ki  royā  hai  haal  par  hamāre
qāsid  ke  haath  meñ  ḳhat  namnāk  ho  gayā  hai
zer-e-falak  bhalā  to  rove  hai  aap  ko  'mīr'
kis  kis  tarah  kā  aalam  yaañ  ḳhaak  ho  gayā  hai