din  nahīñ  raat  nahīñ  sub.h  nahīñ  shaam  nahīñ
vaqt  milne  kā  magar  dāḳhil-e-ayyām  nahīñ
misl  anqā  mujhe  tum  duur  se  sun  lo  varna
nañg-e-hastī  huuñ  mirī  jaa.e  ba-juz  naam  nahīñ
ḳhatar  rāh-e-vafā  balki  bahut  duur  khiñchā
umr  guzrī  ki  baham  nāma-o-paiġhām  nahīñ
rāz-poshī-e-mohabbat  ke  ta.iiñ  chāhiye  zabt
so  to  be-tābī-e-dil  bin  mujhe  ārām  nahīñ
be-qarārī  jo  koī  dekhe  hai  so  kahtā  hai
kuchh  to  hai  'mīr'  ki  ik  dam  tujhe  ārām  nahīñ