bū  ki  ho  sū-e-bāġh  nikle  hai
baav  se  ik  dimāġh  nikle  hai
hai  jo  andher  shahr  meñ  ḳhurshīd
din  ko  le  kar  charāġh  nikle  hai
chob-kārī  hī  se  rahegā  shaiḳh
ab  to  le  kar  chumāġh  nikle  hai
de  hai  jumbish  jo  vaañ  kī  ḳhaak  ko  baav
jigar  daaġh  daaġh  nikle  hai
har  sahar  hādisa  mirī  ḳhātir
bhar  ke  ḳhuuñ  kā  ayāġh  nikle  hai
us  galī  kī  zamīn-e-tafta  se
dil-jaloñ  kā  surāġh  nikle  hai
shāyad  us  zulf  se  lagī  hai  'mīr'
baav  meñ  ik  dimāġh  nikle  hai