garmī  se  maiñ  to  ātish-e-ġham  kī  pighal  gayā
rātoñ  ko  rote  rote  hī  joñ  sham-e-gul  gayā
ham  ḳhasta-dil  haiñ  tujh  se  bhī  nāzuk-mizāj-tar
tevrī  chaḌhā.ī  tū  ne  ki  yaañ  jī  nikal  gayā
garmi-e-ishq  maane  nashv-o-numā  huī
maiñ  vo  nihāl  thā  ki  ugā  aur  jal  gayā
mastī  meñ  chhoḌ  dair  ko  ka.abe  chalā  thā  maiñ
laġhzish  baḌī  huī  thī  va-lekin  sambhal  gayā
saaqī  nashe  meñ  tujh  se  luñDhā  shīsha-e-sharāb
chal  ab  ki  duḳht-e-tāk  kā  joban  to  Dhal  gayā
har  zarra  ḳhaak  terī  galī  kī  hai  be-qarār
yaañ  kaun  sā  sitam-zada  maaTī  meñ  rul  gayā
uryāñ  tanī  kī  shoḳhī  se  dīvāngī  meñ  'mīr'
majnūñ  ke  dasht-e-ḳhār  kā  dāmāñ  bhī  chal  gayā