Meer Taqi Meer

yar ne humse be-adai ki

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
yaar ne ham se be-adā.ī kī
vasl kī raat meñ laḌā.ī kī
bāl-o-par bhī ga.e bahār ke saath
ab tavaqqo nahīñ rihā.ī kī
kulfat-e-ranj-e-ishq kam na huī
maiñ davā kī bahut shifā.ī kī
turfa raftār ke haiñ rafta sab
dhuum hai us kī rahgirā.ī kī
ḳhanda-e-yār se taraf ho kar
barq ne apnī jag-hañsā.ī kī
kuchh muravvat na thī un āñkhoñ meñ
dekh kar kyā ye āshnā.ī kī
vasl ke din ko kār-e-jāñ na khiñchā
shab na āḳhir huī judā.ī kī
muñh lagāyā na duḳhtar-e-raz ko
maiñ javānī meñ pārsā.ī kī
jaur us sañg-dil ke sab na khiñche
umr ne saḳht bevafā.ī kī
kohkan kyā pahāḌ toḌegā
ishq ne zor-āzmā.ī kī
chupke us kī galī meñ phirte rahe
der vaañ ham ne be-navā.ī kī
ik nigah meñ hazār jī maare
sāhirī kī ki dilrubā.ī kī
nisbat us āstāñ se kuchh na huī
barsoñ tak ham ne jab.ha-sā.ī kī
'mīr' kī bandagī meñ jāñ-bāzī
sair sī ho ga.ī ḳhudā.ī kī
Top Urdushayar.com