yaar  ne  ham  se  be-adā.ī  kī
vasl  kī  raat  meñ  laḌā.ī  kī
bāl-o-par  bhī  ga.e  bahār  ke  saath
ab  tavaqqo  nahīñ  rihā.ī  kī
kulfat-e-ranj-e-ishq  kam  na  huī
maiñ  davā  kī  bahut  shifā.ī  kī
turfa  raftār  ke  haiñ  rafta  sab
dhuum  hai  us  kī  rahgirā.ī  kī
ḳhanda-e-yār  se  taraf  ho  kar
barq  ne  apnī  jag-hañsā.ī  kī
kuchh  muravvat  na  thī  un  āñkhoñ  meñ
dekh  kar  kyā  ye  āshnā.ī  kī
vasl  ke  din  ko  kār-e-jāñ  na  khiñchā
shab  na  āḳhir  huī  judā.ī  kī
muñh  lagāyā  na  duḳhtar-e-raz  ko
maiñ  javānī  meñ  pārsā.ī  kī
jaur  us  sañg-dil  ke  sab  na  khiñche
umr  ne  saḳht  bevafā.ī  kī
kohkan  kyā  pahāḌ  toḌegā
ishq  ne  zor-āzmā.ī  kī
chupke  us  kī  galī  meñ  phirte  rahe
der  vaañ  ham  ne  be-navā.ī  kī
ik  nigah  meñ  hazār  jī  maare
sāhirī  kī  ki  dilrubā.ī  kī
nisbat  us  āstāñ  se  kuchh  na  huī
barsoñ  tak  ham  ne  jab.ha-sā.ī  kī
'mīr'  kī  bandagī  meñ  jāñ-bāzī
sair  sī  ho  ga.ī  ḳhudā.ī  kī