jins-e-girāñ  ko  tujh  se  jo  log  chāhte  haiñ
ve  rog  apne  jī  ko  nāhaq  basāhate  haiñ
us  mai-kade  meñ  ham  bhī  muddat  se  haiñ  va-lekin
ḳhamyāza  khīñchte  haiñ  har  dam  jamāhate  haiñ
nāmūs  dostī  se  gardan  bañdhī  hai  apnī
jiite  haiñ  jab  talak  ham  tab  tak  nibāhte  haiñ
sahal  is  qadar  nahīñ  hai  mushkil-pasandī  merī
jo  tujh  ko  dekhte  haiñ  mujh  ko  sarāhte  haiñ
ve  din  ga.e  ki  rāteñ  nāloñ  se  kāTte  the
be-Dol  'mīr'-sāhib  ab  kuchh  karāhte  haiñ