kyā  mire  aane  pe  tū  ai  but-e-maġhrūr  gayā
kabhī  us  raah  se  niklā  to  tujhe  ghuur  gayā
le  gayā  sub.h  ke  nazdīk  mujhe  ḳhvāb  ai  vaa.e
aañkh  us  vaqt  khulī  qāfila  jab  duur  gayā
gor  se  naale  nahīñ  uThte  to  nai  ugtī  hai
jī  gayā  par  na  hamārā  sar  pur-shor  gayā
chashm-e-ḳhūñ-basta  se  kal  raat  lahū  phir  Tapkā
ham  ne  jaanā  thā  ki  bas  ab  to  ye  nāsūr  gayā
nā-tavāñ  ham  haiñ  ki  haiñ  ḳhaak  galī  kī  us  kī
ab  to  be-tāqatī  se  dil  kā  bhī  maqdūr  gayā
le  kahīñ  muñh  pe  naqāb  apne  ki  ai  ġhairat-e-sub.h
sham.a  ke  chehra-e-raḳhshāñ  se  to  ab  nuur  gayā
nāla-e-'mīr'  nahīñ  raat  se  sunte  ham  log
kyā  tire  kūche  se  ai  shoḳh  vo  ranjūr  gayā