dahr  bhī  'mīr'  turfa-e-maqtal  hai
jo  hai  so  koī  dam  ko  faisal  hai
kasrat-e-ġham  se  dil  lagā  rukne
hazrat-e-dil  meñ  aaj  dañggal  hai
roz  kahte  haiñ  chalne  ko  ḳhūbāñ
lekin  ab  tak  to  roz-e-avval  hai
chhoḌ  mat  naqd  vaqt-e-nasiya  par
aaj  jo  kuchh  hai  so  kahāñ  kal  hai
band  ho  tujh  se  ye  khulā  na  kabhū
dil  hai  yā  ḳhāna-e-muqaffal  hai
sīna-chākī  bhī  kaam  rakhtī  hai
yahī  kar  jab  talak  mo.attal  hai
ab  ke  hāthoñ  meñ  shauq  ke  tere
dāman-e-bādiya  kā  āñchal  hai
Tak  garebāñ  meñ  sar  ko  Daal  ke  dekh
dil  bhī  kyā  laq-o-daq  jañgal  hai
hijr  baa.is  hai  bad-gumānī  kā
ġhairat-e-ishq  hai  to  kab  kal  hai
mar  gayā  kohkan  isī  ġham  meñ
aañkh  ojhal  pahāḌ  ojhal  hai