aage  jamāl-e-yār  ke  ma.azūr  ho  gayā
gul  ik  chaman  meñ  dīda-e-be-nūr  ho  gayā
ik  chashm-e-muntazar  hai  ki  dekhe  hai  kab  se  raah
joñ  zaḳhm  terī  duurī  meñ  nāsūr  ho  gayā
qismat  to  dekh  shaiḳh  ko  jab  lahar  aa.ī  tab
darvāza  shīra  ḳhāne  kā  ma.amūr  ho  gayā
pahuñchā  qarīb  marg  ke  vo  said-e-nā-qubūl
jo  terī  said-e-gāh  se  Tak  duur  ho  gayā
dekhā  ye  nāv-nosh  ki  nīsh-e-firāq  se
siina  tamām  ḳhāna-e-zambūr  ho  gayā
is  māh-e-chārdah  kā  chhape  ishq  kyūñke  aah
ab  to  tamām  shahr  meñ  mash.hūr  ho  gayā
shāyad  kaso  ke  dil  ko  lagī  us  galī  meñ  choT
merī  baġhal  meñ  shīsha-e-dil  chuur  ho  gayā
lāsha  mirā  tasallī  na  zer-e-zamīñ  huā
jab  tak  na  aan  kar  vo  sar-e-gor  ho  gayā
dekhā  jo  maiñ  ne  yaar  to  vo  'mīr'  hī  nahīñ
tere  ġham-e-firāq  meñ  ranjūr  ho  gayā