baġhair  dil  ki  ye  qīmat  hai  saare  aalam  kī
kaso  se  kaam  nahīñ  rakhtī  jins  aadam  kī
koī  ho  mahram  shoḳhī  tirā  to  meñ  pūchhūñ
ki  bazm-e-aish  jahāñ  kyā  samajh  ke  barham  kī
hameñ  to  baaġh  kī  taklīf  se  muaaf  rakho
ki  sair-o-gasht  nahīñ  rasm  ahl-e-mātam  kī
tanik  to  lutf  se  kuchh  kah  ki  jāñ-ba-lab  huuñ  maiñ
rahī  hai  baat  mirī  jaan  ab  koī  dam  kī
guzarne  ko  to  kāj-o-vākaj  apnī  guzre  hai
jafā  jo  un  ne  bahut  kī  to  kuchh  vafā  kam  kī
ghire  haiñ  dard-o-alam  meñ  firāq  ke  aise
ki  sub.h-e-īd  bhī  yaañ  shaam  hai  mahram  kī
qafas  meñ  'mīr'  nahīñ  josh  daaġh  siine  par
havas  nikālī  hai  ham  ne  bhī  gul  ke  mausam  kī