kalī  kahte  haiñ  us  kā  sā  dahan  hai
sunā  kariye  ki  ye  bhī  ik  suḳhan  hai
Tapakte  dard  haiñ  aañsū  kī  jaagā
ilāhī  chashm  yā  zaḳhm-e-kuhan  hai
ḳhabar  le  pīr-e-kan.āñ  kī  ki  kuchh  aaj
nipaT  āvāra  bū-e-pairahan  hai
nahīñ  dāman  meñ  laala  be-sutūñ  ke
koī  dil-e-dāġh  ḳhūn-e-kohkan  hai
shahādat-gāh  hai  bāġh-e-zamāna
ki  har  gul  us  meñ  ik  ḳhūnīñ-kafan  hai
karūñ  kyā  hasrat-e-gul  ko  vagarna
dil  par  daaġh  bhī  apnā  chaman  hai
jo  de  ārām  Tak  āvārgī  'mīr'
to  shām-e-ġhurbat  ik  sub.h-e-vatan  hai