jhumke  dikhā  ke  tuur  ko  jin  ne  jalā  diyā
aa.ī  qayāmat  un  ne  jo  parda  uThā  diyā
us  fitne  ko  jagā  ke  pashemāñ  huī  nasīm
kyā  kyā  aziiz  logoñ  ko  un  ne  sulā  diyā
ab  bhī  dimāġh-e-rafta  hamārā  hai  arsh  par
go  āsmāñ  ne  ḳhaak  meñ  ham  ko  milā  diyā
jaanī  na  qadar  us  guhar  shab  charāġh  kī
dil  reza-e-ḳhazaf  kī  tarah  maiñ  uThā  diyā
taqsīr  jaan  dene  meñ  ham  ne  kabhū  na  kī
jab  teġh  vo  buland  huī  sar  jhukā  diyā
garmī  charāġh  kī  sī  nahīñ  vo  mizāj  meñ
ab  dil  fasurdagī  se  huuñ  jaise  bujhā  diyā
vo  aag  ho  rahā  hai  ḳhudā  jaane  ġhair  ne
merī  taraf  se  us  ke  ta.iiñ  kyā  lagā  diyā
itnā  kahā  thā  farsh  tirī  rah  ke  ham  hoñ  kaash
so  tū  ne  maar  maar  ke  aa  kar  bichhā  diyā
ab  ghaTte  ghaTte  jaan  meñ  tāqat  nahīñ  rahī
Tak  lag  chalī  sabā  ki  diyā  sā  baḌhā  diyā
tañgī  lagā  hai  karne  dam  apnā  bhī  har  ghaḌī
kuḌhne  ne  dil  ke  jī  ko  hamāre  khapā  diyā
kī  chashm  tū  ne  baaz  ki  kholā  dar-e-sitam
kis  mudda.ī  ḳhalq  ne  tujh  ko  jagā  diyā
kyā  kyā  ziyān  'mīr'  ne  khīñche  haiñ  ishq  meñ
dil  haath  se  diyā  hai  judā  sar  judā  diyā