jafā.eñ  dekh  liyāñ  bevafā.iyāñ  dekhīñ
bhalā  huā  ki  tirī  sab  burā.iyāñ  dekhīñ
tirī  galī  se  sadā  ai  kashanda-e-ālam
hazāroñ  aatī  huī  chārpā.iyāñ  dekhīñ
gayā  nazar  se  jo  vo  garm  tifl-e-ātish-bāz
ham  apne  chehre  pe  uḌtī  havā.iyāñ  dekhīñ
tire  visāl  ke  ham  shauq  meñ  hoñ  āvāra
aziiz  dost  sabhoñ  kī  judā.iyāñ  dekhīñ
hamesha  mā.il-e-ā.īna  hī  tujhe  paayā
jo  dekhīñ  ham  ne  yahī  ḳhud-numā.īyāñ  dekhīñ
shahāñ  ki  kohl-e-javāhar  thī  ḳhāk-e-pā  jin  kī
unhīñ  kī  āñkhoñ  meñ  phirte  salā.iyāñ  dekhīñ
banī  na  apnī  to  us  jañg-jū  se  hargiz  'mīr'
laḌā.īñ  jab  se  ham  āñkheñ  laḌā.iyāñ  dekhīñ