paiġhām  ġham-e-jigar  kā  gulzār  tak  na  pahuñchā
naala  mirā  chaman  kī  dīvār  tak  na  pahuñchā
us  ā.īne  ke  mānind  zañgār  jis  ko  khāve
kaam  apnā  us  ke  ġham  meñ  dīdār  tak  na  pahuñchā
joñ  naqsh-e-pā  hai  ġhurbat  hairān-kār  us  kī
āvāra  ho  vatan  se  jo  yaar  tak  na  pahuñchā
labrez  shikva  the  ham  lekin  huzūr  tere
kār-e-shikāyat  apnā  guftār  tak  na  pahuñchā
le  chashm-e-nam-rasīdd  paanī  chuvāne  koī
vaqt-e-aḳhīr  us  ke  bīmār  tak  na  pahuñchā
ye  baḳhte--sabz  dekho  bāġh-e-zamāna  meñ  se
pazhmurda  gul  bhī  apnī  dastār  tak  na  pahuñchā
mastūrī  ḳhūb-rūī  donoñ  na  jam.a  hoveñ
ḳhūbī  kā  kaam  kis  kī  iz.hār  tak  na  pahuñchā
yūsuf  se  le  ke  tā-gul  phir  gul  se  le  ke  tā-shamma
ye  husn  kis  ko  le  kar  bāzār  tak  na  pahuñchā
afsos  'mīr'  ve  jo  hone  shahīd  aa.e
phir  kaam  un  kā  us  kī  talvār  tak  na  pahuñchā