joshish-e-ashk  se  huuñ  aaTh  pahr  paanī  meñ
garche  hote  haiñ  bahut  ḳhauf-o-ḳhatar  paanī  meñ
zabt-e-girya  ne  jalāyā  hai  darūna  saarā
dil  achambhā  hai  ki  hai  soḳhta-tar  paanī  meñ
āb-e-shamshīr-e-qayāmat  hai  burinda  us  kī
ye  gavārā.ī  nahīñ  paate  haiñ  har  paanī  meñ
tab-e-dariyā  jo  ho  āshufta  to  phir  tūfāñ  hai
aah  bāloñ  ko  parāganda  na  kar  paanī  meñ
ġharq  āb-e-ashk  se  huuñ  lek  uḌā  jaatā  huuñ
juuñ  samak  go  ki  mire  Duube  haiñ  par  paanī  meñ
mardum-e-dīda-e-tar  mardum-e-ābī  haiñ  magar
rahte  haiñ  roz  o  shab  o  shām-o-sahar  paanī  meñ
hai.at  āñkhoñ  kī  nahīñ  vo  rahī  rote  rote
ab  to  girdāb  se  aate  haiñ  nazar  paanī  meñ
girya-e-shab  se  bahut  aañkh  Dare  hai  merī
paañv  rukte  hī  nahīñ  bār-e-digar  paanī  meñ
fart-e-girya  se  huā  'mīr'  tabāh  apnā  jahāz
taḳhta  paare  ga.e  kyā  jānūñ  kidhar  paanī  meñ