kab  se  nazar  lagī  thī  darvāza-e-haram  se
parda  uThā  to  laḌiyāñ  āñkheñ  hamārī  ham  se
sūrat-gar-e-ajal  kā  kyā  haath  thā  kahe  to
khīñchī  vo  teġh-e-abrū  faulād  ke  qalam  se
sozish  ga.ī  na  dil  kī  rone  se  roz-o-shab  ke
jaltā  huuñ  aur  dariyā  bahte  haiñ  chashm-e-nam  se
taa.at  kā  vaqt  guzrā  mastī  meñ  aab  raz  kī
ab  chashm-dāsht  us  ke  yaañ  hai  faqat  karam  se
kuḌhiye  na  roiye  to  auqāt  kyūñke  guzre
rahtā  hai  mashġhala  sā  bār-e-ġham-o-alam  se
mash.hūr  hai  samājat  merī  ki  teġh  barsī
par  maiñ  na  sar  uThāyā  hargiz  tire  qadam  se
baat  ehtiyāt  se  kar  zaa.e.a  na  kar  nafas  ko
bālīdgī-e-dil  hai  mānind-e-shīsha  dam  se
kyā  kyā  ta.ab  uThā.e  kyā  kyā  azaab  dekhe
tab  dil  huā  hai  utnā  ḳhūgar  tire  sitam  se
hastī  meñ  ham  ne  aa  kar  āsūdgī  na  dekhī
khultīñ  na  kaash  āñkheñ  ḳhvāb  ḳhush  adam  se
pāmāl  kar  ke  ham  ko  pachhtāoge  bahut  tum
kamyāb  haiñ  jahāñ  meñ  sar  dene  vaale  ham  se
dil  do  ho  'mīr'  sāhab  us  bad-ma.āsh  ko  tum
ḳhātir  to  jam.a  kar  lo  Tak  qaul  se  qasam  se