mānind-e-shama.a-majlis  shab  ashk-bār  paayā
al-qissa  'mīr'  ko  ham  be-iḳhtiyār  paayā
ahvāl  ḳhush  unhoñ  kā  ham-bazm  haiñ  jo  tere
afsos  hai  ki  ham  ne  vaañ  kā  na  baar  paayā
jiite  jo  zof  ho  kar  zaḳhm-e-rasā  se  us  ke
siine  ko  chaak  dekhā  dil  ko  figār  paayā
shahr-e-dil  ek  muddat  ujḌā  basā  ġhamoñ  meñ
āḳhir  ujaaḌ  denā  us  kā  qarār  paayā
itnā  na  tujh  se  milte  ne  dil  ko  kho  ke  rote
jaisā  kiyā  thā  ham  ne  vaisā  hī  yaar  paayā
kyā  e'tibār  yaañ  kā  phir  us  ko  ḳhvār  dekhā
jis  ne  jahāñ  meñ  aa  kar  kuchh  e'tibār  paayā
aahoñ  ke  shole  jis  jā  uThte  the  'mīr'  se  shab
vaañ  jā  ke  sub.h  dekhā  musht-e-ġhubār  paayā