ḳhat  se  vo  zor  safā-e-husn  ab  kam  ho  gayā
chāh-e-yūsuf  thā  zaqan  so  chāh-e-rustam  ho  gayā
sīna-kobī-e-sañg  se  dil-e-ḳhūn  hone  meñ  rahī
haq-ba-jānib  thā  hamāre  saḳht  mātam  ho  gayā
ek  sā  aalam  nahīñ  rahtā  hai  us  aalam  ke  beach
ab  jahāñ  koī  nahīñ  yaañ  ek  aalam  ho  gayā
aañkh  ke  laḌte  tirī  āshob  sā  barpā  huā
zulf  ke  dirham  hue  ik  jam.a  barham  ho  gayā
us  lab-e-jāñ-baḳhsh  kī  hasrat  ne  maarā  jaan  se
āb-e-haivāñ  yaman-e-tāle.a  se  mire  sam  ho  gayā
vaqt  tab  tak  thā  to  sajda  masjidoñ  meñ  kufr  thā
fā.eda  ab  jab  ki  qad  mehrāb  sā  ḳham  ho  gayā
ishq  un  shahrī  ġhazāloñ  kā  junūñ  ko  ab  khiñchā
vahshat-e-dil  baḌh  ga.ī  ārām-e-jāñ  ram  ho  gayā
jī  khiñche  jaate  haiñ  fart-e-shauq  se  āñkhoñ  kī  aur
jin  ne  dekhā  ek-dam  us  ko  so  be-dam  ho  gayā
ham  ne  jo  kuchh  us  se  dekhā  so  ḳhilāf-e-chashm-e-dāsht
apnā  izrā.īl  vo  jaan  mujassam  ho  gayā
kyā  kahūñ  kyā  tarheñ  badleñ  chaah  ne  āḳhir  ko  'mīr'
thā  girah  jo  dard  chhātī  meñ  so  ab  ġham  ho  gayā