tañg  aa.e  haiñ  dil  us  jī  se  uThā  baiTheñge
bhūkoñ  marte  haiñ  kuchh  ab  yaar  bhī  khā  baiTheñge
ab  ke  bigḌegī  agar  un  se  to  is  shahr  se  jā
kaso  vīrāne  meñ  takiya  hī  banā  baiTheñge
ma.arka  garm  to  Tak  hone  do  ḳhūñ-rezī  kā
pahle  talvār  ke  nīche  hamīñ  jā  baiTheñge
hogā  aisā  bhī  koī  roz  ki  majlis  se  kabhū
ham  to  ek-ādh  ghaḌī  uTh  ke  judā  baiTheñge
jā  na  iz.hār-e-mohabbat  pe  havasnākoñ  kī
vaqt  ke  vaqt  ye  sab  muñh  ko  chhupā  baiTheñge
dekheñ  vo  ġhairat-e-ḳhurshīd  kahāñ  jaatā  hai
ab  sar-e-rāh  dam-e-sub.h  se  aa  baiTheñge
bhiiḌ  Taltī  hī  nahīñ  aage  se  us  zālim  ke
gardaneñ  yaar  kisī  roz  kaTā  baiTheñge
kab  talak  galiyoñ  meñ  saudā.ī  se  phirte  rahiye
dil  ko  us  zulf-e-musalsal  se  lagā  baiTheñge
sho.ala-afshāñ  agar  aisī  hī  rahī  aah  to  'mīr'
ghar  ko  ham  apne  kaso  raat  jalā  baiTheñge