hotī  hai  garche  kahne  se  yaaro  parā.ī  baat
par  ham  se  to  thambe  na  kabhū  muñh  par  aa.ī  baat
jaane  na  tujh  ko  jo  ye  tasanño  tū  us  se  kar
tis  par  bhī  to  chhupī  nahīñ  rahtī  banā.ī  baat
lag  kar  tadrau  rah  ga.e  dīvār-e-bāġh  se
raftār  kī  jo  terī  sabā  ne  chalā.ī  baat
kahte  the  us  se  miliye  to  kyā  kyā  na  kahiye  lek
vo  aa  gayā  to  sāmne  us  ke  na  aa.ī  baat
ab  to  hue  haiñ  ham  bhī  tire  Dhab  se  āshnā
vaañ  tū  ne  kuchh  kahā  ki  idhar  ham  ne  paa.ī  baat
bulbul  ke  bolne  meñ  sab  andāz  haiñ  mire
poshīda  kab  rahe  hai  kisū  kī  uḌaa.ī  baat
bhaḌkā  thā  raat  dekh  ke  vo  sho.ala-ḳhū  mujhe
kuchh  rū-siyah  raqīb  ne  shāyad  lagā.ī  baat
aalam  siyāh-ḳhāna  hai  kis  kā  ki  roz-o-shab
ye  shor  hai  ki  detī  nahīñ  kuchh  sunā.ī  baat
ik  din  kahā  thā  ye  ki  ḳhamoshī  meñ  hai  vaqār
so  mujh  se  hī  suḳhan  nahīñ  maiñ  jo  batā.ī  baat
ab  mujh  za.īf-o-zār  ko  mat  kuchh  kahā  karo
jaatī  nahīñ  hai  mujh  se  kisū  kī  uThā.ī  baat
ḳhat  likhte  likhte  'mīr'  ne  daftar  kiye  ravāñ
ifrāt-e-ishtiyāq  ne  āḳhir  baḌhā.ī  baat