kyā  muāfiq  ho  davā  ishq  ke  bīmār  ke  saath
jī  hī  jaate  nazar  aa.e  haiñ  is  āzār  ke  saath
raat  majlis  meñ  tirī  ham  bhī  khaḌe  the  chupke
jaise  tasvīr  lagā  de  koī  dīvār  ke  saath
mar  ga.e  par  bhī  khulī  rah  ga.iiñ  āñkheñ  apnī
kaun  is  tarah  muā  hasrat-e-dīdār  ke  saath
shauq  kā  kaam  khiñchā  duur  ki  ab  mehr  misāl
chashm-e-mushtāq  lagī  jaa.e  hai  tūmār  ke  saath
raah  us  shoḳh  kī  āshiq  se  nahīñ  ruk  saktī
jaan  jaatī  hai  chalī  ḳhūbi-e-raftār  ke  saath
ve  din  ab  sālte  haiñ  rātoñ  ko  barsoñ  guzre
jin  dinoñ  der  rahā  karte  the  ham  yaar  ke  saath
zikr-e-gul  kyā  hai  sabā  ab  ki  ḳhizāñ  meñ  ham  ne
dil  ko  nā-chār  lagāyā  hai  ḳhas  o  ḳhaar  ke  saath
kis  ko  har  dam  hai  lahū  rone  kā  hijrāñ  meñ  dimāġh
dil  ko  ik  rabt  sā  hai  dīda-e-ḳhūñ-bār  ke  saath
merī  us  shoḳh  se  sohbat  hai  be-ainihī  vaisī
jaise  ban  jaa.e  kisū  saade  ko  ayyār  ke  saath
dekhiye  kis  ko  shahādat  se  sar-afrāz  kareñ
laag  to  sab  ko  hai  us  shoḳh  kī  talvār  ke  saath
bekalī  us  kī  na  zāhir  thī  jo  tū  ai  bulbul
dam-kash-e-'mīr'  huī  us  lab  o  guftār  ke  saath