dil  kī  taraf  kuchh  aah  se  dil  kā  lagāo  hai
Tak  aap  bhī  to  aa.iye  yaañ  zor  baav  hai
uThtā  nahīñ  hai  haath  tirā  teġh-e-jaur  se
nāhaq  kushī  kahāñ  ta.iiñ  ye  kyā  subhāv  hai
bāġh-e-nazar  hai  chashm  ke  manzar  kā  sab  jahāñ
Tak  Thahro  yaañ  to  jaano  ki  kaisā  dikhāo  hai
taqrīb  ham  ne  Daalī  hai  us  se  juue  kī  ab
jo  ban  paḌe  hai  Tak  to  hamārā  hī  daav  hai
Tapkā  kare  hai  aañkh  se  lohū  hī  roz-o-shab
chehre  pe  mere  chashm  hai  yā  koī  ghaav  hai
zabt  sarishk-e-ḳhūnīñ  se  jī  kyūñke  shaad  ho
ab  dil  kī  taraf  lohū  kā  saarā  bahāo  hai
ab  sab  ke  rozgār  kī  sūrat  bigaḌ  ga.ī
lākhoñ  meñ  ek  do  kā  kahīñ  kuchh  banāo  hai
chhātī  ke  merī  saare  numūdār  haiñ  ye  zaḳhm
parda  rahā  hai  kaun  sā  ab  kyā  chhupāo  hai
āshiq  kaheñ  jo  hoge  to  jānoge  qadr-e-'mīr'
ab  to  kisī  ke  chāhne  kā  tum  ko  chaav  hai