duzdīda  nigah  karnā  phir  aañkh  milānā  bhī
is  lauTte  dāman  ko  paas  aa  ke  uThānā  bhī
pāmālī-e-āshiq  ko  manzūr  rakhe  jaanā
phir  chaal  kaDhab  chalnā  Thokar  na  lagānā  bhī
burqā  ko  uThā  denā  par  aadhe  hī  chehre  se
kyā  muñh  ko  chhupānā  bhī  kuchh  jhamkī  dikhānā  bhī
dekh  āñkheñ  mirī  nīchī  ik  mārnā  patthar  bhī
zāhir  meñ  satānā  bhī  parde  meñ  jatānā  bhī
sohbat  hai  ye  vaisī  hī  ai  jaan  kī  āsā.ish
saath  aan  ke  sonā  bhī  phir  muñh  ko  chhupānā  bhī