agar  raah  meñ  us  kī  rakhā  hai  gaam
ga.e  guzre  ḳhizar  alaihis-salām
dahan  yaar  kā  dekh  chup  lag  ga.ī
suḳhan  yaañ  huā  ḳhatm  hāsil-kalām
mujhe  dekh  muñh  par  pareshāñ  kī  zulf
ġharaz  ye  ki  jā  tū  huī  ab  to  shaam
sar-e-shām  se  rahtī  haiñ  kāhisheñ
hameñ  shauq  us  maah  kā  hai  tamām
qayāmat  hī  yaañ  chashm-o-dil  se  rahī
chale  bas  to  vaañ  jā  ke  kariye  qayām
na  dekhe  jahāñ  koī  āñkhoñ  kī  aur
na  leve  koī  jis  jagah  dil  kā  naam
jahāñ  'mīr'  zer-o-zabar  ho  gayā
ḳhirāmāñ  huā  thā  vo  mahshar-ḳhirām