aao  kabhū  to  paas  hamāre  bhī  naaz  se
karnā  sulūk  ḳhuub  hai  ahl-e-niyāz  se
phirte  ho  kyā  daraḳhtoñ  ke  saa.e  meñ  duur  duur
kar  lo  muvāfaqat  kisū  be-barg-o-sāz  se
hijrāñ  meñ  us  ke  zindagī  karnā  bhalā  na  thā
kotāhī  jo  na  hove  ye  umr-e-darāz  se
mānind-e-sub.ha  uqde  na  dil  ke  kabhū  khule
jī  apnā  kyuuñ  ki  uchTe  na  roze  namāz  se
kartā  hai  chhed  chhed  hamārā  jigar  tamām
vo  dekhnā  tirā  mizha-e-nīm-bāz  se
dil  par  ho  iḳhtiyār  to  hargiz  na  kariye  ishq
parhez  kariye  is  maraz-e-jāñ-gudāz  se
aage  bichhā  ke  natā  ko  laate  the  teġh  o  tasht
karte  the  yaanī  ḳhuun  to  ik  imtiyāz  se
maane  hoñ  kyuuñ  ki  girya-e-ḳhūnīñ  ke  ishq  meñ
hai  rabt-e-ḳhās  chashm  ko  ifshā-e-rāz  se
shāyad  sharāb-ḳhāne  meñ  shab  ko  rahe  the  'mīr'
khele  thā  ek  muġhbacha  mohr-e-namāz  se