kahīñ  pahuñcho  bhī  mujh  be-pā-o-sar  tak
ki  pahuñchā  sham.a-sāñ  daaġh  ab  jigar  tak
kuchh  apnī  aañkh  meñ  yaañ  kā  na  aayā
ḳhazaf  se  le  ke  dekhā  dar-e-tar  tak
jise  shab  aag  sā  dekhā  sulagte
use  phir  ḳhaak  hī  paayā  sahar  tak
tirā  muñh  chāñd  sā  dekhā  hai  shāyad
ki  anjum  rahte  haiñ  har  shab  idhar  tak
jab  aayā  aah  tab  apne  hī  sar  par
gayā  ye  haath  kab  us  kī  kamar  tak
ham  āvāzoñ  ko  sair  ab  kī  mubārak
par-o-bāl  apne  bhī  aise  the  par  tak
khiñchī  kyā  kyā  ḳharābī  zer-e-dīvār
vale  aayā  na  vo  Tak  ghar  se  dar  tak
galī  tak  terī  laayā  thā  hameñ  shauq
kahāñ  tāqat  ki  ab  phir  jaa.eñ  ghar  tak
yahī  dard-e-judā.ī  hai  jo  is  shab
to  aatā  hai  jigar  mizhgān-e-tar  tak
dikhā.ī  deñge  ham  mayyat  ke  rañgoñ
agar  rah  jā.eñge  jiite  sahar  tak
kahāñ  phir  shor  shevan  jab  gayā  'mīr'
ye  hañgāma  hai  is  hī  nauhagar  tak