pusht-e-pā  maarī  bas-ki  duniyā  par
zaḳhm  paḌ  paḌ  gayā  mire  pā  par
Duube  uchhle  hai  āftāb  hanūz
kahīñ  dekhā  thā  tujh  ko  dariyā  par
giro  mai  huuñ  aao  shaiḳh  shahr
abr  jhūmā  hī  jaahe  sahrā  par
dil  par  ḳhuuñ  to  thā  gulābī  sharāb
jī  hī  apnā  chalā  na  sahbā  par
yaañ  jahāñ  meñ  ki  shahr-e-gorāñ  hai
saat  parde  haiñ  chashm-e-bīnā  par
fursat-e-aish  apnī  yuuñ  guzrī
ki  musībat  paḌī  tamannā  par
tārum-e-tāk  se  lahū  Tapkā
sañg-bārāñ  huā  hai  miinā  par
'mīr'  kyā  baat  us  ke  hoñToñ  kī
jiinā  dūbhar  huā  masīhā  par