shaiḳh  jī  aao  musallā  giro  jaam  karo
jins  taqvā  ke  ta.iiñ  sirf  mai-e-ḳhām  karo
farsh  mastāñ  karo  sajjāda-e-be-tah  ke  ta.iiñ
mai  kī  tāzīm  karo  shīshe  kā  ikrām  karo
dāman-e-pāk  ko  ālūda  rakho  baade  se
aap  ko  muġhbachoñ  ke  qābil-e-dushnām  karo
nek-nāmī-o-taqāvat  ko  duā  jald  kaho
dīn-o-dil  pesh-kash  sāda-e-ḳhud-kām  karo
nañg-o-nāmūs  se  ab  guzro  javānoñ  kī  tarah
par  fishānī  karo  aur  saaqī  se  ibrām  karo
ḳhuub  agar  jur.a  -mai-nosh  nahīñ  kar  sakte
ḳhātir-jam.a  mai-āshām  se  ye  kaam  karo
uTh  khaḌe  ho  jo  jhuke  gardan-e-mīnā-e-sharāb
ḳhidmat-e-bāda-gusārāñ  hī  sar-anjām  karo
mutrib  aa  kar  jo  kare  chañg-navāzī  to  tum
pairahan  mastoñ  kī  taqlīd  se  in.aam  karo
ḳhunkī  itnī  bhī  to  lāzim  nahīñ  is  mausam  meñ
paas  josh-e-gul-o-dil  garmī-e-ayyām  karo
sāya-e-gul  meñ  lab-e-jū  pe  gulābī  rakho
haath  meñ  jaam  ko  lo  aap  ko  badnām  karo
āh-e-tā-chand  raho  ḳhānaqah-o-masjid  meñ
ek  to  sub.h-e-gulsitāñ  meñ  bhī  shaam  karo
raat  to  saarī  ga.ī  sunte  pareshāñ-goī
'mīr'-jī  koī  ghaḌī  tum  bhī  to  ārām  karo