jāñ-gudāz  itnī  kahāñ  āvāz-e-ūd-o-chañg  hai
dil  ke  se  nāloñ  kā  un  pardoñ  meñ  kuchh  āhañg  hai
rū-o-ḳhāl-o-zulf  hī  haiñ  sumbul-o-sabza-o-gul
āñkheñ  huuñ  to  ye  chaman  ā.īna-e-nairañg  hai
be-sutūñ  khode  se  kiyā  āḳhir  hue  sab  kār-e-ishq
ba.ad-azāñ  ai  kohkan  sar  hai  tirā  aur  sañg  hai
aah  un  ḳhush-qāmatoñ  ko  kyūñke  bar  meñ  lā.iye
jin  ke  hāthoñ  se  qayāmat  par  bhī  arsa-e-tañg  hai
ishq  meñ  vo  ghar  hai  apnā  jis  meñ  se  majnūñ  ye  ek
nā-ḳhalaf  saare  qabīle  kā  hamāre  nañg  hai
chashm-e-kam  se  dekh  mat  qumrī  to  us  ḳhush-qad  ko  Tak
aah  bhī  sard  gulistāñ  shikast-e-rañg  hai
ham  se  to  jaayā  nahīñ  jaatā  ki  yaksar  dil  meñ  vaañ
do-qadam  us  kī  galī  kī  raah  sau  farsañg  hai
ek  bose  par  to  kī  hai  sulh  par  ai  zuud  rañj
tujh  ko  mujh  ko  itnī  itnī  baat  uupar  jañg  hai
paañv  meñ  choT  aane  ke  pyāre  bahāne  jaane  de
pesh-raft  aage  hamāre  kab  ye  uzr  lañg  hai
fikr  ko  nāzuk  ḳhayāloñ  ke  kahāñ  pahuñche  haiñ  yaar
varna  har  misra.a  yahāñ  ma.ashūq  shoḳh-o-shañg  hai
sarsarī  kuchh  sun  liyā  phir  vāh-vā  kar  uTh  ga.e
sher  ye  kam-fahm  samjhe  haiñ  ḳhayāl  bañg  hai
sabr  bhī  kariye  balā  par  'mīr'-sāhib  jī  kabhū
jab  na  tab  ronā  hī  kuḌhnā  ye  bhī  koī  Dhañg  hai